Eid Ki Raat (chaand raat) Ki Keemat
==============
Jab Eid-ul-fitr (Mithi Eid) ki raat hoti hai to is raat ko aasmano par (farishte) lay-latul-jaizake naam se pukarte hain, yaani 'Inaam Ki Raat'. Humne poore ramzan jo roze rakhe hain, taraweeh padhi hai uska inaam Allah is raat mein deta hai. Shab-e-qadr ke baad ye raat bhi bahut keemti hoti hai. Isliye is raat ko bhi jaagkar Allah ki ibadat karna chahiye. Is raat mein Allah ki ibadat kijiye, khoob dua kariye, apne gunaho ki maafi maangiye. Hadees mein aaya he ke is raat ko bhi Allah dua kubul karta hai. Allah se ye dua kariye ke "Ae Allah ramzan ka jo haq tha wo hum ada na kar sake, bas humne (tere fazlo-karam se) jo thodi tuti-futi ibadat ki hai, uski galtiyo ko maaf kar de aur usko kubul kar le".
Magar afsos ke chaand dikhte hi hum bazaro ki taraf bhaagte hain aur puri raat khardi ya eid ki tayyari mein guzar dete hain. Isliye Eid ki tayyari aur kharidi pahle hi kar lena chahiye taake 'lay-latul-jaiza" jesi keemti raat bazaro mein ya dusre kaamo mein na guzre balke Allah ki ibadatkarte hue guzre.Allah hum sabko is raat bhi jaag kar ibadatkarna nasib kare. Aameen.
Jazakallah Khair for this information.. I was searching for this
ReplyDelete